kitne mukhtasar hain meri khushi k lamhe faraz

August 12, 2009
mujhe guman hai ki chaha hai bahot zamane ne mujhe
mai aziz to sabka hun magar zarooraton ki tarah.
kitne mukhtasar hain meri khushi k lamhe faraz
mere muskurane se pahle hi guzar jate hain.
chahne wale muqaddar se mila karte hai faraz
usne is baat ko tasleem kiya magar mere jaane k bad.
aaj toot kar jo yad aayi uski to ehsaas hua
utar jaate hain jo dil me bhulaye nahi jate.
hum bikne gaye the bazar-e-mohabbat me faraz
kya pata tha dil walon ko log kharida nahi karte.
udasiyon se wabasta hai yeh zindagi meri sahi
khuda gawaah hai phir bhi tujhe hum yad karte hai.

dosti ko daulat ki nazar se na dekh ae galib

July 29, 2009
hame aata hai sukun isliye tere pas chale aate hai saki
warna mia kahne ko to aur bhi hain mahkhane teri ankhon k siva.
dosti ko daulat ki nazar se na dekh ae galib
ahle wafa aksar garib hua karte hain.
baha k aansun mere wo kahte hain faraz
tumhari ankhon pani kitna haseen lagta hai.
chupke usko ek gulab bheja tha magar
khusbu ne shaher bhar me tamasha bana diya.
kabhi kabhi pathr k takrane se aati hai kharas
kabhi ek zara si bat par insan bikhar jata hai.
dil ki viran basti humse poocha karti hain faraz
wo kahn gaye jo dil me basne aaye the.

hame aata hai sukun isliye tere pas chale aate hai saki

warna kahne ko to aur bhi hain mahkhane teri ankhon k siva.

dosti ko daulat ki nazar se na dekh ae galib

ahle wafa aksar garib hua karte hain.

baha k aansun mere wo kahte hain faraz

tumhari ankhon pani kitna haseen lagta hai.

chupke usko ek gulab bheja tha magar

khusbu ne shaher bhar me tamasha bana diya.

kabhi kabhi pathr k takrane se aati hai kharas

kabhi ek zara si bat par insan bikhar jata hai.

dil ki viran basti humse poocha karti hain faraz

wo kahn gaye jo dil me basne aaye the.

raat badi mushkil se sulaya hai khud ko maine faraz

July 29, 2009
raat badi mushkil se sulaya hai khud ko maine faraz
apni aankh ko tere khawab ka lalach dekar.
usne pukara to laraz gayi meri dil ki zameen
piche mud k dekha to mukhatib kisi aur se tha.
har kisi ki zindagi ka ek hi maksad hai faraz
khud beshak ho bewafa par talaash wafa ki karta hai.
kuch isliye bhi doston se rabta kam rakhta hun faraz
ki kal mar bhi jaun to kisi ki aankhen nam na hon.
kahin kuch zakhm nahi phir bhi dard ka ehsas hota hai faraz
lagta hai dil ka tukda aaj bhi uske pas hai.
tujhe fursat na mili padhne ki warna
hum to bikte rahe tere saher me kitabon ki tarah.

aansu utha lete hai mere gamo ka bojh faraz

July 10, 2009
aansu utha lete hai mere gamo ka bojh faraz,
yeh wo dost hain jo ehsan jataya nahin karte.
mujhe nahi maloom wo meri kismat mein hai k nahi
magar use khuda se mangna achcha lagta hai.
usne mujhe chod diya to kya hua faraz
maine bhi to chora tha sara zamana usike liye.
galti hui use jaan se bhi ziada chahne lage faraz
kya pata tha meri itni wafa use bewafa kar degi.
taqat nahi mujhme k duniya se chin lun use faraz
lekin khuda se mangne ka haq to hai mujhe.
hum to bejaan chizon se bhi wafa karte hain faraz
usme to phir bhi meri jaan basti hai.

be nishaan manzilon k safar par nikloge to jaan jaoge

June 13, 2009

be nishaan manzilon k safar par nikloge to jaan jaoge faraz
hum jaise musafir kuin ghar ka rasta bhul jate hai.
meri ankhen bhi ek din mujhse ye kah dengi faraz
khawab na uska dekha kro humse ab roya nahi jata
hujoom itna ho tumhari zindagi me khushiyon ka faraz
gam guzarne bhi payen to use rasta na mile
mere halaat ne kar diya tha khamosh mujhe faraz
zara hum chup kya hue doston ne yad karna hi chor diya.
mere halaat ne kar diya tha khamosh mujhe faraz
zara hum chup kya hue doston ne yad karna hi chor diya.
kahin tanha na kar de tujhe munfarid rahne ka andaaz faraz
jab din dhale to kisi se hale dil kah diya karo.
khuda bhi na bach saka mohabbat ke takazon se
ek mahboob ki khatir saari duniya bana daali.
main uska hun yeh raaz to wo jaan gaya hai faraz
wo kiska hai yeh sawal mujhe sone nahi deta.

be nishaan manzilon k safar par nikloge to jaan jaoge faraz

hum jaise musafir kuin ghar ka rasta bhul jate hai.

meri ankhen bhi ek din mujhse ye kah dengi faraz

khawab na uska dekha kro humse ab roya nahi jata.

hum dewano se na pooch anjaam ulfat faraz
hum to bewafawon ko bhi jine ki dua dete hain.

hujoom itna ho tumhari zindagi me khushiyon ka faraz

gam guzarne bhi payen to use rasta na mile.

mere halaat ne kar diya tha khamosh mujhe faraz

zara hum chup kya hue doston ne yad karna hi chor diya.

mere halaat ne kar diya tha khamosh mujhe faraz

zara hum chup kya hue doston ne yad karna hi chor diya.

kahin tanha na kar de tujhe munfarid rahne ka andaaz faraz

jab din dhale to kisi se hale dil kah diya karo.

khuda bhi na bach saka mohabbat ke takazon se

ek mahboob ki khatir saari duniya bana daali.

main uska hun yeh raaz to wo jaan gaya hai faraz

wo kiska hai yeh sawal mujhe sone nahi deta.

wo is ana pe rahta hai ki main usko usse mangun
main is guroor me rahti hun apni hi cheez k liye daman failaya nahi karte.

Aaj mere shab-e-furqat kii sahar aaii hai

January 27, 2009

Aaj mere shab-e-furqat kii sahar aaii hai 

muddaton baad terii rahaguzar aaii hai.

dekh to leejiye mere khuun-e-tamannaa ki bahaar 

jis kii surkhii merii aankhonn mein utar aaii hai. 

tune to tark-e-muhabbat kii qasam khaaii thi

kyon terii aankh mujhe dekh ke bhar aaii hai.

unke pairaahan-e-rangiin kii mahak hai is mein 

aaj kyaa baad-e-sabaa hoke udhar aaii hai.

is mein kuchh unki jafaayen bhii to shaamil hain ‘Shamim’ 

bewafaaii kii jo tohamat mere sar aaii hai.

huii hai shaam to aankhon mein bas gayaa phir tuu

January 27, 2009

huii hai shaam to aankhon mein bas gayaa phir tuu 

kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu 

bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se

jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu

[shakhs = individual/person]

merii misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-saharaa huun

teraa Khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taair tuu

[misaal = example; taa_ir = bird]

[naKhl-e-Khushk-e-saharaa = dry tree in the wilderness]

main jaanataa huun ke duniyaa tujhe badal degii 

main maanataa huun ke aisaa nahiin bazaahir tuu 

[bazaahir = appear to be]

hansii Khushii se bichhad jaa agar bichadnaa hai 

ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tuu 

‘Faraz’ tune use mushkilon mein daal diyaa 

zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu 

[saahib-e-zar = wealthy]

dost ban kar bhii nahiin saath nibhaane waalaa

January 18, 2009

dost ban kar bhii nahiin saath nibhaane waalaa

vahii andaaz hai zaalim kaa zamaane waalaa 

ab ise log samajhate hain giraftaar mera

sakht nadiim hai mujhe daam mein laane waalaa 

kyaa kahen kitne maraasim the hamaare isse 

vo jo ik shaKhs hai muunh pher ke jaane waalaa 

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa 

aaj tanhaa huun to koii nahiin aane waalaa 

muntazir kis kaa huun tootii huii dahaliiz pe main 

kaun aayegaa yahaan kaun hai aane waalaa 

mainee dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte huye

hai koii Khwaab kii taabiir bataane waalaa 

kyaa khabar thii jo merii jaan men ghulaa hai itna

hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane waalaa 

tum taqalluf ko bhii ikhalaas samajhate ho ‘Faraz’ 

dost hotaa nahiin har haath milaane waalaa.

khud apne baag ke phuulon se dar lage hai mujhe

January 4, 2009

na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe 

khud apne baag ke phuulon se dar lage hai mujhe.

[Khauf=fear; barq=lightning; sharar=spark of fire/ember] 

ajeeb dard kaa rishtaa hai saari duniyaa mein 

kahiin ho jaltaa makaan apnaa ghar lage hai mujhe.

main ek jaam huun kis kis ke honth tak pahunchuun 

gazab ki pyaas liye har bashar lage hai mujhe.

[jaam=wine goblet; Gazab=very strong; bashar=human being] 

taaraash letaa huun us se bhii aaiine “Manzoor” 

kisii ke haath kaa patthar agar lage hai mujhe 

[taraashanaa=to shape or carve] 

to yaad aauungaa main.

December 22, 2008

tum merii aaakh ke tevar na bhulaa paaoge 

ankahii baat ko samjhoge to yaad aauungaa main.

hamne khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe 

safaah-e-ziist ko paltoge to yaad aauungaa main.

isii andaaz mein hote the mukhaatib mujh se 

khat kisii aur ko likhoge to yaad aauungaa main.

sard raaton ke mahakate hue sannaaton mein 

jab kisii phool ko chuumoge to yaad aauungaa main.

ab tere ashk mai honthon se churaa letaa huun 

haath se khud inhen pochoge to yaad aauungaa main.

shaal pahnaayega ab kaun disambar mein tumhen 

baarishon mein kabhii bhiigoge to yaad aauungaa main.

aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut 

jab kabhii toot ke bikhroge to yaad aauungaa main.

haadase aayenge jiivan mein to tum hoke nidhaal 

kisii deewaar ko thaamoge to yaad aauungaa main.

is mein shaamil hai merii bakht kii taariikii bhii 

tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauungaa main.