Tags

, , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,


 Mairay khoon ka josh maarna…. meri maa kay doodh ki taseer  hai……yahee taseer…. fishaar-e-y khoon aur yahee uss ka aser aur hisaar….. joe her aanay waalay waqt  aur her aanay walee museebat mein…. mumta ki qurbani ko salaam kerta hua …..mout ko bhee galey lagalayta hai…..baat yeh hain kay …… zindaagi maa kay khoon ka aser hai …..aur yahee zindagi aik baar phir mumta ka hee hisaar…..joe khoon mein seenchey huaye betay ki soorat or qoowat us ski hifazat per mammmoor…..ubb beta agar  khayanat keray….. toe mumta haar jati hai …..aur yahee khoon agar amanat lota dey ……to zindagi jeet jaati hai … yahee zindagi dena maao ka amal aur yahee maao ki ravish …ub agar beta ferma berdaar …..toe maa serkharoo…. aur agar beta naferman….. toe maa mujroh…shayed yahee wajah hai jo ma-aey beto per inhisaar kia kerty hai …..aur baitay Upney maaon kay khoon say seenchee aur khainchee hue taqut per ….…tubhee toe kehnay waalay ney Khyber ki jung mein kuch isterha kaha kay ……Mein who hoo jis ki maa nay us ka naam hyder rukha”.

Salute to the Martyrs and sons of the soil.