Tribute to Kavish Badri: A unique Ghazal

Kavish Badri's Urdu ghazal
Renowed Urdu poet Kavish Badri died in his native town, Ambur, in Vellore district of Tamil Nadu recently. One of the masters of Urdu poetry, Kavish Badri was among the most prominent Urdu writers in South India.

One of his ghazals with a unique ‘radeef’ is being posted here. It’s just a glimpse to the master craftsman who enriched Urdu language and literature for decades.

He was 84. Kavish Badri was published in Urdu journals across the world. His ghazals were a permanent feature in literary magazine, Shabkhoon.

Vellore has a subtantial Urdu speaking populace. In fact, one of the pioneers of Urdu ghazal, Vali Vellori (not to be confused with Wali Dakhni) also hailed from this town.

By Indscribe

Urdu Poetry: 200 Ghazals and Nazms

Urdu poetry transcends geographical boundaries and is understood and loved by millions who can’t read a word written in Urdu script. I am happy that my other blog now has a collection of 200 selected ghazals and Nazms, each in Urdu, Hindi and Roman English scripts, for the benefit of readers. Read.

Due to the linguistic politics, Urdu unfortunately got identified as a language of Muslims in India, and the script of the langauge suffered as a result. However, the poetry remained as popular as it was in the past.

When you intend to put the gems of Urdu poetry on the web, you can’t ignore that a vast majority of readers can’t read Urdu script (especially Indians). While Roman script was used for writing Urdu even in Indian Army, it has certain restrictions.

Though devanagari script is quite scientific, it also has some limitations. When I started blogging I aimed at publishing the best of Urdu poetry. I soon learnt that one has to use all the three scripts as most of the readers understand Roman but are not too comfortable with the transliteration.

So I decided to write each ghazal or Nazm in English, Urdu and Hindi scripts. Roman and Hindi supplement each other. For example, if a person can’t understand a word in Roman, he can read it in devanagari and be able to pronounce it clearly.

Of course, those who can read Urdu, will have no problem. But they will also get help in pronounciation of difficult or confusing words by reading the Roman text. The result is that now there are over 200 Ghazals and Nazms which you can read at this website. Click

From classical masters like Mir, Ghalib, Momin, Dard and Dagh to progressive poets and the modernist stream, we have tried to incorporate the best verses of each generation.

Nazms are often neglected but on this site you will get to read poetry of Akhtarul Iman, Faiz, Majaz, Ibn-e-Insha, Sahir, Nida and many others. The number of posts is now well over 200 and it will keep growing.

The beauty of Urdu poetry, especially ghazal, lies in the fact that though it has at least five to six couplets, each couplet can be separately used and quoted. The quotability makes Urdu poetry unique and the ‘sher’ reverberate from pan kiosks to parliament of India.

Click to read Urdu poetry.

By Indscribe [www.anindianmuslim.com]

Uski gali ki khaak uRane ka jee kare

fikri.jpg

Prakash Fikri’s ghazal and especially the couplets:

woh shaKhs jis-se ruuTh ke tanhaa boh’t hu’e
uskii galii kii Khaak uRaane ko jii kare

bujhne lagii hai shaam andheroN kii god meN
har simt ek aag lagaane ko jii kare

Fikri yeh iKhtesaar to be-lutf saa rahaa
qissa ko’ii taviil sunaane ko jii kare

Prakash Fikri (or shall I write, Parkash) is one of the finest Urdu poets of the generation that made its mark in the 70s and 80s.

Indscribe

hum-zubaaN na milaa…

ghazal

dayaar-e-dil meN pursaan-e-be-dilaaN na milaa
huaa bhii koii muKhaatib to ham-zabaaN na milaa

voh Khaak-daaN jo banaa haft qila-e-miina
usii ke khaanabadoshoN ko KhaanamaaN na milaa

uroos-e-asmat-e-kirdar ki Khabar mafquud
jab ek baar gayaa, ganj-e-shaae’gaaN na milaa

ye musta’aar tabassum ye mol ka Ghaaza
nishaan-e-anjuman-e-mehr-chagaaN na milaa

vo daGhdaGhe to faqat the qadam uThaane tak
nikal chale to sunaa thaa jo haft-KhwaaN na milaa

use ki aahan-o-faulaad mom karne the
jahaan-e-qaqam-o-sanjaab-o-paraniyaaN na milaa

Rashid Kausar Faruqui

AnIndianMuslim.com

Mahmood Ayaz’ Nazm: Hospital ka Kamraa

‘Hospital ka Kamraa’ is amongst Mahmood Ayaz’ best known Nazm.

haspatal ka kamra

‘Hasptaal ka Kamra’

tamaam shab ki dukhan, be-kali, subuk Khwaabhii
namuud-e-sub’h ko darmaaN samajh kar kaaTii hai
ragoN meN dauRte phirte lahuu kii har aahaT
ajal girafta KhayaaloN ko aas detii hai
magar voh aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai

ufaq se sub’h kii pahlii kiran ubhartii hai
tamaam raat ki faryaad ek sukuut meN chup
tamaam shab ki dukhan, be-kalii, subuk be-Khwaabi
hariirii pardoN kii Khamosh silwatoN meN gum
jo aaNkh zinda thii Khamosh chhat ko taktii hai
magar wo aaNkh jo sab dekhtii hai–haNstii hai

namuud-e-sub’h kii zartaar roshnii ke saath
mahakte phuul dariiche se jhaaNk kar dekheN
to mez-o-dar pe kisii dard ka nishaaN na mile
ugaal-daan davaaoN ki shiishiyaaN, pankhaa
kuNvaarii maaN ka tabassum, saliib aavezaaN
har ek chiiz badastuur apnii jagah
naye mariiz kii aamad ka intizaar kare
aur ek aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai

(Mahmood Ayaz)

Jashn-e-Ghalib: Urdu Mushaira at Aiwan-e-Ghalib (Delhi)

A GALAXY of eminent Urdu poets from across the world regaled the audience at the Aiwan-e-Ghalib in Delhi on Monday.

apnii manzil pe pohoNchnaa bhii khaRe rahnaa bhii
kitnaa mushkil hai baRe ho ke baRe rahnaa bhii
(Shakil Azmi)

tera chehra in aaNkhoN meN puraana ho gaya hai
kahiiN phir mil,tujhe dekhe zamaana ho gaya hai
(Wali Bijnori)

yeh shahar-e-la-had-osimt mera
globe meN ek nishaan bhar thaa
(Rashid Jamal Faruqi)

bhanak kisi na kisi tarah paa gaye patthar
shajar meN phal koi aaya, ki aa gaye patthar
(Ghulam Murtuza Rahi)

achchhii chiizeN lageNgii aur achchhii
darmiyaaN kuchh kharaab rakh dena
(Balraj Komal)

aaNdhiyaan aatii thii lekin kabhii asiaa na huaa
khauf ke maare judaa shaaKh se pattaa na huaa
(Shaharyaar)

yeh aaNsuu jaante haiN kis ke daaman par barasnaa hai
har ek shaaKh-e-gulistaaN manzil-e-shabnam nahiiN hai
(Lutf-ur-Rehman)

aye Khudaa raah-e-tamanna meN miTaa de mujh ko
aayegi kis ke laboN pe yeh du’aa mere ba’ad
(Sajida Zaidi)

kisii ko hai bhii saliiqa chaman meN jiine kaa
maiN jis sukuuN se bikhraa huuN kaun bikhregaa
(Kashmiri Lal Zakir)

Muneeb-ur-Rehman, Shaharyar, Makhmoor Saeedi, Balraj Komal, Kashmiri Lal Zakir, Zubair Rizvi, Kamal Ahmed Siddiqui, Aleem Saba Navedi, Lutf-ur-Rahman, Mus’haf Iqbal Tausifi, Zahida Zahidi, Sajida Zaidi, Bekal Utsahi and Malikzada Manzur Ahmed were amongst the poets who recited at the mushaira.

Malika Naseem, Syed Taqi Abidi, Noor Amrohvi, Asad Mufti, Saleem Shahzad, Khaleel Tanveer, Mehtab Naqvi, Siraj Ajmali, Qaisar Azmi, Pratipal Singh Betab and Alam Khurshid also rendered their couplets and verses. The three-day Jashn-e-Ghalib culminated with this mushaira.